देश …. Desh !
कब होगा देश महान , जब हम साथ न रहते ,
खुद को न कुछ देख , बस एक दूजे को कहते |

शत प्रतिशत की नहीं आस , बस इतना बोलेंगे ,
बदलेगा ये देश यदि , दस प्रतिशत बदलेंगे |

हम उनकी संतान , इसे कैसे भूलेंगे भैय्या ,
जिनके खून पर हुई खड़ी , स्वाधीनता मैय्या |

बदलेगा ये देश और दिन , जब हम संभलेंगे ,
जब बोलेंगे पश्चात् प्रथम , स्वयं को बदलेंगे |

यदि किया यही तो फिर से , सब सीने फूलेंगे ,
और भूल के सब कुछ , फिर से गर्वित झूलेंगे |

धोती हैं सबका मैल , और कहती हैं गंगा मैया ,
धोओ तुम भी मैल देश का , न करो खिलैय्या |

करो समर्पित स्वयं को , फिर दूँगी मैं वरदान ,
युगों युगों तक रहे चमकता , मेरा देश महान !!

रवि , २९ अगस्त २००९ , गुडगाँव……..
****************************************************
Kab hoga desh mahaan jab ham saath na rahte,
Khud ko na kuchh dekh bas ek duje ko kahte .

Shat pratishat ki nahin aas bas itana bolenge ,
badlega ye desh yadi das pratishat badlenge .

Hum unki santaan ise kaise bhulenge bhaiyya,
jinke khoon par hui khadi swadhinta maiyya.

Badalega ye desh aur din jab hum sambhalenge ,
jab bolenge pashchat pratham swayam ko badalenge.

Yadi kiya yahi to phir se sab seene phoolenge,
Aur bhool ke sab kuchh ek bar garvit jhoolenge .

Dhoti hain sabka mail aur kahti ganga maiya ,
dho o tum bhi mail desh ka na karo khilaiyya .

karo samarpit swayam ko phir doongi mai vardaan,
yugo yugon tak rahe chamakata tera desh mahaan !