जीत ! ….. Jeet !
आज दौर बदले हैं , और आगाज़ बदले हैं
मेरे ज़ुनून के आगे , उनके अंदाज़ बदले हैं
स्याह रात से भी , उजाले सूरज के आये हैं
आज़ादी के पहली बार , ये जज़्बात बदलें हैं !
बदलना है हमें अब , ख़ुद के ज़मीरों को
तोड़ना है अब , बेईमानी की जंजीरों को
बनाना है अफताब ,अब इस मुल्क को अपने
ताकि माने दुनिया , कि हम दिल से बदलें हैं !
रवि ; अहमदाबाद : २७ अगस्त २०११…
*****************************************
Aaz Daur badale hain , aur agaaz badle hain
Mere zunoon ke aage , unke andaaz badale hain
Syah raat se bhi Ujaale suraj ke aaye hain
Azaadi ke pahali baar , ye zazbaat badalen hain !
Badalna hai hamein , ab khud ke zameeron ko
Todana hai ab , beimaani ki zanzeeron ko
Banana hai aftaab , ab is mulk ko apne
Taki maane duniya , ki hum dil se badale hain !
Ravi ; Ahmedabad : 27 August 2011