कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

जल जीवन की नैय्या में
गोदी की अपनी मैय्या में
सुख दुःख की इस शैय्या में
हमको हिचकोले देते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

सूर्य देवता जैसे कर लेते
पता न जल को लगने देते
वैसे ही प्रभु इस जीवन में
हमसे भी कुछ हर लेते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

वाष्प उड़ाकर जलाशयों से
जलनिधि से कुछ बूंदे लेकर
सूर्यदेव फिर घन माध्यम से
वर्षा सब पर कर देते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

देते हैं कर उनको सब हम
जान न पाते उनकी सरगम
कब पाते और कब खोते हैं
जीवन भर हंसते रोते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

कर देना तो है आवश्यक
होना है सबको नतमस्तक
अगले जीवन या दें प्रतिपल
ऋण न प्रभु रखने देते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

कभी देते वो हर्ष पुष्प
कभी यौवन का दंभ पुष्प
कभी जीवन के उपवन में
शूल वेदना भर देते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

कभी जिसे उपहार जानते
तो कभी जिसे उपहास मानते
जीवन के अगले ही क्षण में
हम उनको उल्टा कहते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

कभी अश्रु हैं हर्ष विधा के
कभी शूल हैं दुःख दुविधा के
क्या हर्ष और क्या है दुविधा
हम शंषित इसमें रहते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं !

नहीं निवेदन कुछ भी उनसे
जीवन के इस आकर्षण से
सफल प्रतीत प्रतिपल होता जो
प्रभु आश्रय लेने देते हैं !

कहते हैं
प्रभु कर लेते हैं ! !

( कर = Tax )

रवि , ११ सितम्बर २००९ , गुडगाँव

*******************************************

Kahate hain

Prabhu kar lete hain !

Jal jeevan ki naiyya mein
Godi ki apani maiyya mein
Sukh dukh ki is shaiyya mein
Hamako hichkole dete hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Surya devata jaise kar lete
Pata na jal ko lagane dete
Viase he prabhu is jeevan mein
Hamse bhi kuch har lete hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Vashp udaakar Jalashayon se
Jalanidhi se kuchh boonde pakar
suryadev phir ghan madhyam se
Varsha sab par kar dete hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Dete hain kar unko sab ham
Par Jan na pate unki sargam
Kab paate aur kab khote hain
Jeevan bhar hanste rote hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Kar dena to hai avashyak
Hona hai sabko natmastak
Agle jeevan ya dein pratipal
Rin na Prabhu rakhne dete hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Kabhi dete hain harsh pushp
Kabhi youvan ka dambh pushp
Kabhi jeevan ke upwan mein
Shool vedana bhar dete hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Kabhi jise uphaar jaante
To kabhi jise uphaas mante
Jeevan ke agle hi kshan mein
Ham unko ulta kahate hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Kabhi ashru hain harsh vidha ke
kabhi shool hain dukh duvidha ke
Kya hai harsh aur kya hai duvidha
Ham shanshit ismen rahte hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain !

Nahin nivedan kuch bhi unse
Jeevan ke is akarshan se
Safal prateet pratipal hota jo
Prabhu aashray lene dete hain !

Kahate hain
Prabhu kar lete hain ! !
… ….