कलाई !! ……… Kalaai !!
है बरसों से पड़ी सूनी , मेरी ये कलाई ,
याद करते ही ये ,आँख मेरी भर आई !
उसकी आँखों में थी , सदा मेरे लिए दुआएं ,
हर कदम ज़िन्दगी पे , मुझे उसकी याद आई !
था खून एक ही , हम दोनों की रग़ों में ,
पर उसके खून पे , हमेशा ही रंगत आई !
बीत चुके हैं बरसों , और बीते अगिनत पल ,
पर लगता है आएगी , फिर भूलकर वो जुदाई !
मेरा वजूद मेहरबान है , उसकी इबादत का ,
रोम रोम देता मेरा , सदा ही उसकी शुक्राई !
वो मेरी बहन दोस्त थी ,और मैं उसका भाई ,
फिर क्यूँ नहीं कर सके , रिश्ते की हम निभाई !
जीवन की विषमता ने , ना कसर थी उठाई ,
अभेद उन्हें जानकर , थी उसने ली बिदाई !
तोड़ी थी उसने , वक़्त की हर धार उस सुबह ,
और उसके बाद कभी , वो लौटकर नहीं आई !
बरसों की राखियों ने है , याद मुझे ये दिलाई ,
थी लाखों में मेरी बहन ,और मैं उसका भाई !
कलाई मेरी सूनी है , और सूनी ही रहेगी ,
पर दुआएं साथ हैं , और साथ उसकी भलाई !!
रवि ; अहमदाबाद : १६ जून २०१२
***********************************************
Hai barason se padi sooni , meri ye kalaai ,
Yaad karte hi ye , aankh meri bhar aai !
Uski aankon mein thi , sada mere liye duaayen ,
Har kadam zindagi pe , mujhe uski yaad aayi !
Tha khoon ek hi , hum dono ki ragon mein ,
Par uske khoon pe , hamesha hi rangat aai !
Beeten chuke hain barason , aur beete aginat pal ,
Par lagta hai aayegi , phir bhoolkar wo judaai !
Mera wajood meharbaan hai , usaki ibadat ka ,
Rom rom deta mera , sada hee uski shukraai !
Wo meri bahan dost thi , aur main uska bhai ,
Phir kyun nahin kar sake , rishte ki hum nibhai !
Jeevan ki vishamta ne , na kasar thi uthaai ,
Abhed Unhe jaankar hi , thi usne lee bidaai !
Todi thi usne waqt ki , har dhaar us subah ,
Aur uske baad kabhi , wo lautkar nahin aayi !
Barason ki Raakhiyon ne , hai yaad ye dilaai ,
Thi lakhon mein meri bahan, aur main uska bhai !
Kalaai meri sooni hai , aur sooni hi rahegi ,
Par duaayen saath hain , aur saath uski bhalaai !
Ravi ; Ahmedabad : 16 june 2012..