क्यूँ लगता है मुझे कुछ ऐसा ,
नहीं लगा था कभी भी जैसा ,
क्यूँ जीवन ने आज यूँ मोड़ा है ,
क्या अब समय बहुत ही थोड़ा है ?

जीवन अनुभव के राग द्वेष ने ,
प्रेम प्रतिज्ञा और अनुराग वेश ने ,
क्यूँ मुझे प्रतिपल आज झिंझोड़ा है ,
क्या अब समय बहुत ही थोड़ा है ?

पूर्ण जीवन के कर्तव्य मार्ग का ,
मर्यादित और अमर्यादित कार्य का ,
आज क्यूँ हृदय ने सार निचोड़ा है ,
क्या अब समय बहुत ही थोड़ा है ?

कह चुका जो शब्द उन्हें क्रूर भाव के ,
इर्ष्या अपमान और द्वेष राग के ,
क्यूँ प्रतिशब्द लगता आज निगोड़ा है ,
क्या अब समय बहुत ही थोड़ा है ?

जो कर चुके पलायन स्मृति से मेरी ,
जिन्हे नहीं आभास विस्मृति का मेरी ,
क्यूँ उनसे आज सम्बन्ध ये जोड़ा है ,
क्या अब समय बहुत ही थोड़ा है ?

चेतना प्रति क्षण की वातावरण में ,
वेदना ह्रदय कण की अंतःकरण में ,
क्यूँ लगती प्रभु शरण में रोड़ा है ,
क्या अब समय बहुत ही थोड़ा है ??

रवि ; अहमदाबाद : १८ जुलाई 2011 …

*************************

Kyun lagta hai mujhe kuchh aisa
Nahin laga tha kabhi bhi jaisa
Kyun aaj hi jeevan ne moda hai
kya ab samay bahut hi thoda hai ?

Jeevan anubhav ke raag dwesh ne
Prem pratigya aur anuraag vesh ne
Kyun pratipal mujhe aaj jhinjhora hai
Kya ab samay bahut hi thoda hai ?

Purna Jeevan ke kartavya marg ka
Amaryadit aur amaryaadit karya ka
Aaj kyun hridaya ne saar nichoda hai
Kya ab samay bahut hi thoda hai ?

Kah chuka jo shabd unhe kroor bhav ke
Irshya apmaan aur dwesh Raag ke
Kyun lagta prati shabd aaj nigoda hai
Kya ab samay bahut hi thoda hai ?

The Guzar chuke jo yaadon se meri
Tha Nahin pata jinhe baaton ka meri
Kyun unse aaj yeh rishta joda hai
Kya ab samay bahut hi thoda hai ?

Chetana Prati kshan ki watawaran mein
Vedna Hriday kan ki antahkaran mein
Kyun lagti prabhu sharan mein roda hai
Kya ab samay bahut hi thoda hai ??

Ravi ; Ahmedabad : 18 July 2011